|
Shayari |
|
Zindagi
|
Kise pata yeh zindgi ka safar kitna lamba hai
Kaha ko jake milegi manzil, kaha per humara aashiyana hai
Ladkhadate hue in kadmoko, pani pe chalna sikhana hai
Ek akeli jaan ko yu zindgi se ladte jana hai
Kehne ko toh hai yeh sara jaha humara
Per har koi lagta kyu begana hai
Puch raha hai yeh dil bar bar humse
Ke ise jine ka matlab samjana hai
Kaise keh de baharo se jake
Ke patjhad ka mausam toh aana hai
Kaise samjaye is maan ki tadpan ko
Ke abhi to bahut dur jana hai
Dhundh ne par bhi nahi milega yaha koi thikana
Ke yeh jivan toh sirf ek bahana hai
Na samaj sako to koi gum na karna
Ke samjate rehna to kaam humara hai
|
|
Dec 30 2008
|
By - Purvi |
|
|
|
Yaad
|
kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
pyaas bujhti nahin ke barsaat guzar jati hai,
yadon se kaho ki yun na sataya kare,
neend aati nahi aur raat guzar jati hai
|
|
Dec 24 2008
|
By - kazi noor |
|
|
|
|
Chirag se andheray dhoor ho jathe,
Tho chand ki chahat kaise hoti,
Katt sakthi akelay zindagi ,
Tho dosti naam ki cheez kyo hoti?
Ek din humare ansu hum se pooch baitay,
Hum ay roz roz kyu bulathe ho?
Hum nay kaha, hum yaad unhe karthe hai,
Tum kyo chale aathe ho?
|
|
Dec 16 2008
|
By - Kazi Noor |
|
|
|
RAT KO CHANDNI
|
Rat ko chandni rosni deti hai
Meri ankhon ko tera chera rosni deta hai
Jab tak tuje na dekha lu muje kuch nazar nahi
Ata hai
|
|
Dec 08 2008
|
By - sehar |
|
|
|
AKHEN TARAS JATI HAI
|
Akhen taras jati hai
dil faryad karta hai
chale aao jan ki jan
tuje koi dil se yad karta hai
|
|
Dec 08 2008
|
By - sehar |
|
|
|
GAZAL
|
Rat ke phelu mai faryad na karna
Hohi subha to muje yaad karna
Mai teri dulhan banu yeh dua karna
Tere jine ka ehass banu yeh dua karna
Mai rahon umra bhar sath tere teri
Sajani ban kar yeh dua karna
Tere bina to jina muskil hai mera
Sajana mai tuje apne dil ke kisi
Kone mai chupa kar rakhon yeh dua karna
Mai teri hi rahon bas yeh dua karna
Mai rahon ya na rahon bas mujse hi pyar karna
|
|
Dec 06 2008
|
By - sehar |
|
|
|
hai khuda
|
hai khuda meri khushi mujko dede
mangugi nahi aur kuch tujse bas mera
mehboob mujko dede
|
|
Dec 06 2008
|
By - sehar |
|
|
|
Mai aur maikhanaa
|
Rah mein jab maikhanaa pada hai,
Dil ko bahut samjhanaa pada hai,
Gulshan, gulshan aaye the lekin,
Sehra, sehra jaanaa pada hai!
Kal jo chhalakta tha mehfil mein
Aaj Sare maikhanaa pada hai...Rah mein...
Khud ki khabar rakhta hai har pal
Naam magar deewana pada hai! Rah mein...
|
|
Dec 01 2008
|
By - Shreesh |
|
|
|
Jindagi khel raha hoon...
|
Jindagi khel raha hoon tere rukhsaar ke saath...
Jaise khele koi holi kisi beemar ke saath...
Main wo pencil hoon jisko nahi markaz ka pataa...
Daayare khinch rahi hai kisi parkar ke saath...
|
|
Dec 01 2008
|
By - Shreesh |
|
|
|
Khush Rahe Aap
|
Ugta huva suraj roshni de apko
khilta huva phool Khushbu de apko
Hum to khushi deina ka kabil nahi hai
denewala hazar khushiya de apko
|
|
Nov 10 2008
|
By - SK |
|
|